Tuesday, February 16, 2021

PYAAR

Pyaar ek Ahesas ka Nasha hai

Pyaar ek Apnepan ka Jajba hai


Pyaar ek Khubsurti ka Tohfa hai

Pyaar ek Unchi Udaan ka Saathi hai


Pyaar Breakup Patch up ka ek Silsila hai

Pyaar Zindagi ke saath aur baad ka ek sangath hai


Pyaar kabhi khushi to kabhi gam ka ek AAshiyana hai

Pyaar Zindagi jine ka ek bahetarin Tarika hai


Pyaar Radheshyam ki ek Ravangi hai

Pyaar Laila Majanu ki ek Diwangi hai


Pyaar RamSita ki ek Adbhut Kahani hai

Pyaar harek ki ek Adhuri Ankahi Zubani hai

1 comment: